Shayad na ho hamari phirse mulaqaat
Shayar bana gyi hai mjhko teri yaad
Tootay dil ko mila pura ye jahaan mgr mere liye tw thi mukammal tm hi meri jaan
Ho din ya raat pita rehta tu sharaab
Tjhe nai koi lihaz kidhr hai tera dehaan?
Rakh nai pata qaabu aksar khud tu apnay aap pr
Jala dega ye tjhe hota ghusse jese aag
Bhara choton k nishanon se chupana parta baazu
Sara kch mjhe bhula de esa tha tmhara jadu
Meri har kamzori har ek raaz saaray tmhein maalum Mein jo bikhar jaun agar tum mjhe sambhalo
Chupalo mjhko apni phirse baahon mein tm jaaneman
Aye jo dubara phir na denge tmhein jaany hum
Ghum k maaray hum dhundtay sahaaray hum mangein duaien jese toottay sitaaray hum
Tum meri zindagi thi zindagi ho rahogi
Mein chordun ye sb kch jo tm mjhse kahogi
Par ab in baaton ka bhala hoga kia sila?
Jo murjha chuka ho phool kia dubara kabhi khila?
Lagta jese mjhme raha dil nahi mera
Zakham gehra, mein nai pehla jise hoga dhoka mila
Tere bina mushkil lgta tw hai jeena par ab tmne ana nahi tw mein rehlunga akela
Goray kaghaz pr likhay kaalay kartoot saray
Dikhte mjhko ankhon mein tmharay jhoot saray
Chotein kha k lagay dil ko jese tankein hum is dard ko mitaanay keliye phir ek ghoont maarein
Chupi thi jo man me baatein khudba khud zubaan pe aane lagi
Karay dil manmaani aqal jese mjhse jaanay lagi
Ajnabi ki tarah bethe khudko dekhe aiyne mein
Bechaini betaabi tanha mjhko meri khanay lagi
Khayalon mein tmharay phirse khogaya mein
Hua nashay mein behosh sbko laga sogaya mein
Rest in peace wo jo zindagi mein nahi
Uski hasti hui tasveer dekhi thora rogaya mein
Tu mera hokar bhi na kabhi mera hosaka
Tmse alag hoke lgta Khuda mjhse ho khafa
Wafadari jurm tw phir hun mein mujrim tm charha do mjhe phansi dedo jo marzi mjhe saza
Tum meri zindagi thi zindagi ho rahogi
Mein chordun ye sb kch jo tm mjhse kahogi
Par ab in baaton ka bhala hoga kia sila?
Jo murjha chuka ho phool kia dubara kabhi khila?
Lagta jese mjhme raha dil nahi mera
Zakham gehra, mein nai pehla jise hoga dhoka mila
Tere bina mushkil lgta tw hai jeena par ab tmne ana nahi tw mein rehlunga akela