🎵

Bum Bum Bole

Album: Shaan, Aamir Khan Durasi: 4:57

Bum bum bole, masti mein tu dol re

Bhala machhliyan bhi kyun udti nahin

Aise bhi socho na

Socho suraj roz nahaaye ya

Baal bhigo ke yeh buddhu banaaye hamein

Yeh saare taare timtimaye

Ya phir gusse mein kuch badbadate rahein

Khul ke sochein aao

Pankh zara phailao

Rang naye bikhrao

Chalo chalo chalo chalo

Naye khwaab bun le

Hey hey hey ... hey hey hey

Bum bum bole, masti mein dole

Bum bum bole, masti mein tu dol re

O rat rat ke kyon tanker full

Aankhein band toh dabba gul

Oye dabba gul, dabba gul

Oye band darwaze khol re

Ho ja bindaas bol re

Bol bol bol bol re

Main bhi hoon, tu bhi hai

Hum sab milke bum chik bum bum chik

Bum bum bole, masti mein dole

Bum bum bole, masti mein tu dol re

Aisi rangon bhari apni duniya hai kyun

Socho to socho na

Pyar se chun ke in rangon ko

Kisi ne sajaya yeh sansar hai

Jo itni sundar hai apni duniya

Upar wala kya koi kalakaar hai

Khul ke sochein aao

Pankh zara phailao

Rang naye bikhrao

Chalo chalo chalo chalo

Naye khwaab bun le

Bum bum bole, masti mein dole

Bum bum bole, masti mein tu dol re