🎵

cigarette

Album: alif laila Durasi: 3:36

Seene se saansein na nikle

Pahuncha de dhuan taaki nikle wo bahar

Dhuen se sab kar dete dhundhla

Hai dar, na wo padh le ye chehre ka haal

Na lagti ab bhook par kha lete khaana

Bahana hai peene ka khaane ke baad

Ham marte har waqt

Bas peene ke waqt ham thoda sa jee lete sahab

Wo kehte "Mohabbat wahi jisme aashiq bichad jaate

Rehte na saath"

Aur meri mohabbat ka haal ki hothon se choote hi ho jaati raakh

Matches ki tili ko chu lu to jal jaati ho jaati mujhse naraaz

Phir chum ke samjhata mar jaata kab ka

Par teri talab to bacha li hai saans

Ab mujhko bas tera hai saath

Bewafa tu bhi na ban jaana yaar

Maana ki jab bhi ham milte mein choota hun tujhko

Par pakeeza hai mera pyaar

Haan tujhse hi milta sukoon

Warna khatam hoti kaise ye raat?

Kaise bhulata mein Laila ko

Jab tak bulati na tere tu mujhko yun paas

Ab mere kameezon se tere badan ki

Ye khushboo na ghar ko pasand

Par kaise bataun ki ungli ko tu na pakadhti

To chal paate hargiz na ham

Haan kaise nikalte ham khud ke khayaalon se

Phas jaate mar jaate hum

Jo tu na chamakti andheron me jal ke

To khud ke hi saayon se dar jaate ham

Toh hona nai mujhse yun door

Tere liye todhi hain saari hai qasmein

Maara hai Laila ne

Par le leta saans jab leta hun kash mein

Laila thi bas khaali dil me

Tu mere khoon me tu meri nass me

Kehte hain marne ke baad bhi zindagi

Hona dafan saath meri qabar me

Dhuen ke bana ke baadal

So rahe lapete baadalon ki chaadar

Jala rahe khud ko ho chuke hain paagal

Ab zindagi hai cigarette (Cigarette)

Dhuen ke bana ke baadal

So rahe lapete baadalon ki chaadar

Jala rahe khud ko ho chuke hain paagal

Ab zindagi hai cigarette (Cigarette)

Padhta hai chup-chup ke milna

"Ye rishte na-jaayiz hai" kehte hain log

Kehte ki Majnoon ko patthar padhe hain

Ab darril pe khareede ye paiso se maut

Par kaise khareede mohabbat ko koi?

Paise nahi yahan nazraana dost

To laila ke jaate hi mar gaya Majnoon

Mein jal raha mujh ko tu parwana bol

Aur dhuan ye saanson ki maala hai

Sambhalu ki haathon se chute na

Mein pal me bikhar jaunga

Toh darr hai ki maala ye galti se toote na

Jo tootegi maala agar

To marne ke baad khuda mujhse puchega

"Bande bata teri kya hai Raza?"

Mein hans ke kahunga "Ye banda bas phookega"

Na Jannati chahta libaas

Na hoorein, na peena mein chahta sharaab

Hai nafrat sharaab se

Behkati mujhko le jaati hai Laila ki galliyon ke paas

To khaali hai dhuan

Ye aisa hai rakhta daba ke jo seene me raaz

Warna ye kambakht paimana aisa

Ki jhoota bana de ye peene ke baad

Aur chor do mere tum haal pe

Koi na aake bhi mujhko salah do

Jo itni hai meri fikar

To aa ke khali mera sutta jala do

Wo bahut hai mere liye

Ye zindagi maut hai mere liye

Na maut ka darr

Bas jo bachi saansein wo saansein bhi jodh li tere liye

Toh hona nai mujhse yun door

Tee liye todhi hain saari hai qasmein

Maara hai Laila ne

Par le leta saans jab leta hun kash mein

Laila thi bas khaali dil me

Tu mere khoon me tu meri nass me

Kehte hain marne ke baad bhi zindagi

Hona dafan saath meri qabar me

Dhuen ke bana ke baadal

So rahe lapete baadalon ki chaadar

Jala rahe khud ko ho chuke hain paagal

Ab zindagi hai cigarette (Cigarette)

Dhuen ke bana ke baadal

So rahe lapete baadalon ki chaadar

Jala rahe khud ko ho chuke hain paagal

Ab zindagi hai cigarette (Cigarette)