🎵

Curry Verse

Album: MTV Hustle 4 - Episode 7 Durasi: 3:17

Yeh gaana toh salah mashwara hai

Yeh bheja bewajah pak chuka hai

Aao tumhe shararat dikha doon

Jo bhida woh kahan bach saka hai

Yeh gaana toh salah mashwara hai

Yeh bheja bewajah pak chuka hai

Aao tumhe shararat dikha doon

Jo bhida woh kahan bach saka hai

Mein bhajano mein gaane wala

Mein tabla bajane wala

Mein sabko nachane wala

Yahan yahan wahan wahan chhaane wala

Sunu main Moose Wala

Sunu main Nyoliwala

Main gadar machane wala

Mere saath mohache wala

Tede mede mere kaam

Nashe bhi bhede bhede meri jaan

Savere na dekhe gande parinaam

Kacheri se bhaagе bande tadipaar

Galey mein chain nahi tola pachaas

Mеin bola nahi jhooth hai bhola gawaah

Tera knowledge ke naam pe jhola bhara

Tu ne Sawde naam pe dhoka kara

Chhote ghoda bada thoda ghoda bada

Bole tola anga maine bola mana

Gaadi ruki nahi na ki daroga khada

Maine bola khara mera auda bada

Dhanda khatam, takhtapalat

Banda dafan, mattha bhanak

Mann ka wehem, main banda saras

Main banda galat, tu thanda baraf

Lafda alert toh janta double

Ganda nahi keechad, ganda kamal

Fanda amal, toh tangta badan

Sasta kafan yahan dus ka

Baje gaadi mein Cardi B

Khaali chalegi party bhi

Kaali safari mein chaar hi sawari

Toh jaari jawani yahan saare khiladi

Madira ke aadi nachaate madari

Aage bande dus, mere bande thass

Wannabe gangster yeh Thande Dutt

Monday skip kiya, Sunday pub

Mann bole hater'o ko matt de waqt

Kaisa matbhed ab

Curry ki baatein curry ke gaane

Curry ka sab kuch alag

Tareeka matt poochh magar

Tareeka matt poochh magar

Curry ki baatein curry ke gaane

Curry ka sab kuch alag

Tareeka mat poochh magar

Mera circle dark rakhun aankhon ke neeche

Bidi bandal baaz bande salaakhon ke peechhe

Bachpan auzaaro mein beete

Sau mein se tees ho gayi aatmahatya

Aur sattar bazaaron mein bik gaye

Aaye thae aandhi jawabon ki leke

Par hum toh sawalon ki barish mein bheeg gaye

Nafrat kitabon mein nahi thi

Shaq mera insaano pe sahi tha

Yeh kar denge desh ko khokla

Kehna mein chah raha bas yahi tha

Na sheher mera Rajdhani Dilli

Aur area bhi Dharavi nahi tha

Haan sheher mein saadhan ki kami thi

Ghisne ke alawa chaara hi nahi tha

Woh launde bhi mandir ko ja rahe

Jo pade na kabhi maa baap ke paer

Poore mahina maas aur madira

Daru mein bhand hoke naapte sheher

Khushi mein shamil nahi karte gharwalon ko

Mehfil saji lekin saath mein gair

Kaam nahi aata karate ladai mein

Katto ke aage yahan kaanpte sher

Woh bolte chhod de rap

Mein bolta chhod de salah dena

Maa bolti dikha ke lal jhandi

Saari dikkat ko beta tu hara dena

Meri aatma lagegi koodne

Maiyyat pe gaane yeh chala dena

Bolun ishwar se agle janam mein bhi

Yehi awaz aur yahi gala dena

Maine dekha hai kutton ko bhaunkte

Biscuit na milne pe maalik ko nochte

Yeh youth se baat karalo har topic pe

Rajneetik muddon ko chhod ke

Kya kha loon mein maa ki kasmein

Shayad baato mein phir aa jaaye yakeen

Mhare baap ki aatma bhi ro degi

Jab khoon ke rishton mein aa jaaye zameen

Kari galtiyan par kiya gunah na

Holy shit aaj maanoge bura na

Mera kaam hai dardon ko bhulana

Mera naam hai mardon mein purana

Ayushman boli maa mujhe khurana

Mujhe kagaz ka plane hi udana

Na rehta time araam se sula na

Lash curry hai kya (Brr)

Yeh gaana toh salah mashwara hai

Yeh bheja bewajah pak chuka hai

Aao tumhe shararat dikha doon

Jo bhida woh kahan bach saka hai

Yeh gaana toh salah mashwara hai

Yeh bheja bewajah pak chuka hai

Aao tumhe shararat dikha doon

Jo bhida woh kahan bach saka hai