Dhadkan Dhadkan Sa
Dil se dil pe dil ka karam
Barse yoon hi har-dum
Sadiyon-sadiyon janmon-janam
Bas yoon hi ho, humdum
Yeh pal ho, yahi lamha
Yeh meherbaani meherbaan ho
Yeh saari khushi, yahi saari hansi
Jo bhi ho, sab aisa ho
Dhadkan-dhadkan sa dhadke khush-khabari sa hum
Jab tak rabb ho, rehna hain humein qaayam
Mann se mann ka, aa, mann se yeh kar lein vaada
Roohon waali raah ki hum hain sangam
Yahi phir dharti, phir yeh gagan
Yahi manzil, yeh aalam
Yahi sajdon ki saundhi chauvan
Yeh sufiyana sargam
Har cheez ab hai jaisi sab ki sab waisi hi rahe
Badle na kuch bhi, yaara, saara sab kuch aise rahe
Fariyaadein yahi, har ek arzi yahi
Har qissa phir se yahi ho
Dhadkan-dhadkan sa dhadke khush-khabari sa hum
Jab tak rabb ho, rehna hain humein qaayam
Mann se mann ka, aa, mann se yeh kar lein vaada
Roohon waali raah ki hum hain sangam
Yahi zindagi, jeena yahi
Yahi qismaton ki rehbari
Qaayam yahi, yeh ilm
Aur yeh saahil aakhiri
Roohon ki raahein yeh thehrein nahin
Isse kam maangein nahin
Armaan yahi, yeh umr ho
Inhin khwaabon se bhari
Dhadkan-dhadkan sa dhadke khush-khabari sa hum
Jab tak rabb ho, rehna hain humein qaayam
Mann se mann ka, aa, mann se yeh kar lein vaada
Roohon waali raah ki hum hain sangam