← Kembali
🎵

Dil Lagana Mana Tha

Album: Dil Lagana Mana Tha Durasi: 3:18

Zamane ki tarah hum bhi tode hain gaye

Aise tanha to na the, tanha chhode hain gaye

(Tanha chhode hain gaye)

Na dil se wo yaadein jaayein, na raaton ko neendein aayein

Aate hain phir khwaab kyun? Aate hain kyun khwaab?

Jo thi tere ishq mein doobi, un aankhon mein tum le aaye

Aansoo behisaab kyun? Aansoo behisaab...

Khair hai, yaaron, kam-se-kam jaan se ja na paaye hum

Khair hai, yaaron, kam-se-kam jaan se ja na paaye hum

Inkaar ke bahaane kai baar karte-karte

Humne wahin lagaya dil, jahaan dil lagana mana tha

Aakhir wahin kiye sajde, jahaan sar jhukana mana tha

Kyun zindagi bita di, jahaan pe ik pal bitana mana tha?

Kyun us gali mein rehte the hum, jahaan roz jaana mana tha?

Zamane ki tarah hum bhi tode hain gaye

Aise tanha to na the, tanha chhode hain gaye

Jo duaayein dete the, haan, usi ke hothon se

Aise-waise lafz bhi humse bole hain gaye

Baitho kisi roz tanhaai mein

Rakho saamne waqt ke aaine

Jo aayega chehra nazar wo kahin

Tumhein "bewafa" keh ke hans na pade

Tujhe dil diya, istemaal hue

Hai tujh mein bhi dil, ye khayaal rahe

Tujhe dil diya, istemaal hue

Hai tujh mein bhi dil, ye khayaal rahe

Humne jalaya dil, jahaan diye bhi jalana mana tha

Kar baithe yaad wo chehra, jisko bhulana mana tha

Hum aazmaye gaye, magar unhein aazmana mana tha

Humne wahin lagaya dil, jahaan dil lagana mana tha

(Pa ma pa, pa ma pa, ni dha pa, ma ga re ga)

(Pa, pa ma pa, ni dha pa)

Zamane ki tarah hum bhi tode hain gaye

Aise tanha to na the, tanha chhode hain gaye

Jo duaayein dete the, haan, usi ke hothon se

Aise-waise lafz bhi humse bole hain gaye