🎵

Jazbaat

Album: Jazbaat (feat. Nabeel Akbar & Umair Khan) - Single Durasi: 3:50

Zubaan gandi par dil saaf rakhey hain shuru se Waqt ki tangi,

Sakht halaat bs mere guru they Main hans k sab kuch sehta raha qalam

Se dard yeh behta raha Main pairon pe khara ab tak tere bharosey Chun

Raha zameen se girey hoye apny tukray 22 saal ki umar main jese

Buzurg main Main jese ban chuka hun qaidi Baalon main agai safaidi

Teri umar se ziada tabhi mere tajurbay Sharaab se ziada nasha bhara

Para ragon main Zindagi kese bayan kardun main chand lafzon main Main

Ne chalna seekha, ungli pakar k mout ki Bachpan se hi meri thi tanhai

Se sirf dosti Tab se le k aaj tak larta raha zamaney se Rozana mar

Mar k ab nahi darta main marjaney se Azaad hona chahta hun gunahon k

Pemaney se Ae khuda main thak gaya mujh ko wapis ghar aney de Main

Ranjishon or bandishon ki zanjiron main phans chuka Hathon ki

Lakeeron ki taqdeeron se tang aa chuka Kitabon ki tehreeron main apny

Zakham chupa raha Main kia karun yeh sab mere hissey main pehley se

Likha Tootey sab sapney mere kaanch se Roothay sab apny mere naam se

Mounh pe main kehta sab kuch saamney Haan maantey qusoor waar hum

Khud ko apny haal k Kar dun dafan main apney khuwab kese Log kahen

Mosiqi haraam or jhoot rah-e- haq hai Par main kabhi na rukoon ga Yeh

Baatain jo hain Kar deti khokla andar se Par hai bharosa khud pe

Idhar, gadhay ghoray main koi farq nahi (farq nahi) Nokri na karey

Jo woh mard nahi (mard nahi) Bekhayali haath hai khaali Andheri subah

Hai ya hai yeh raat saali Khud hi khud ko kosun ya dun khud ko gaali

Par ab wohi khaali haath le k,

Raat le k Betha hun band kamrey main bs jeeney ki ek aas le k Toota

Hoa dil or marey hoye jazbaat le k Lar raha main ab tak bs kuch

Aakhri sansain hain Khari meri mout bs kuch thorey se faasley pe Le k

Pichla bojh kese chalun aagey raastey pe Machta tou hai shor lekin

Koi sunta nahi awaaz jese Lagey mujhey roz k yeh din mere aakhri se

Aaja baat karen zindagi ki Aaj baat karen teri meri

Zindagi ki Hum dono bachey they or chaaron taraf gandagi thi

Kalashan baj rahi thi khulli charas bik rahi thi Aagey sun.

Hum young bhi they dumb bhi they Rehnuma they kam bharkaney waley kam

Nahi they Tere saamney hai teer ab kamaan main hai Hip

Hop andhere main tha jese kisi ghaar main hai Aagey sun.

2009, rap scene nobody 2018, urdu rap ka bol bala 2020,

Mujhey rap bore karey 2022, saarey ab rap pe ghor karen Prophecy,

And though I'm not a prophet Big bills but not bigger than the profit

World play oh my days Talha bro stop Shoot me dead and there's a

Chart I might still top Sach k muqablay main wo laatey jhoot Every

Time I write song umeed jaati toot K bs yeh aakhri,

K bs ab or nahi K mere main ab duniya se larney ka zor nahi Pr mola

Madad keh k hum aagey barhtey rehtey Rappers tw tab bhi they pr tab

Bhi nahi they mere jese Jese tese kar k laga raha,

Chora nahi Time lagaya hai bhai,

Aese hi hota chaura nahi Mora nahi mene mounh kabhi is game se Kabhi

Nahi Gina kia kuch cheena mujh se is game ne Mere liye

Rahey ga hamesha game hi Urdu rap or main saath, till eternity.

Tootey sab sapney mere kaanch se Roothay sab apny mere naam se Mounh

Pe main kehta sab kuch saamney Haan

Maantey qusoor waar hum khud ko apny haal k