🎵

Lifestyle

Album: Lifestyle Durasi: 2:56

Sab mujhe chodke gaye jaise aakhri din hai yeh school ka

Mein karra tha rap hatane yeh gum ko jab ladkon ke liye voh cool tha

Mein paise ko rakhta tha pyaar ke pehle yeh bachpan se apna usool tha

Mein dena chhahta tha jab dill mera

Usey chhaiye bas andar ka khoon tha

Mein itna baar hua dhoke mein shamil ke karta nai kisipe trust mein

Mujhe chhaiye tha bags aur cash

Lekin mujhe deti thi duniya yeh kasmein

Ab laana chhata mujhe conversation mein lekin mein nahi hun interested

Ab bacha nai koi bhi dost bulane toh khali padi meri guestlist

Gully mein ganda hai lifestyle

Khada spot pe lekin ab light kahan hai

Mein kholna nahi chata tha raaz tere

Yeh kasoor saala pura mic ka hai

Tu rakh tera pyaar bas internet pe

Jab chhaiye tha heart tab like kahan hai

Mujhe raasta nahi tha batane ko koi

Tab banke parchai bhagwaan aaye

Aur dost jo bolke mar gaye gand

Voh ladke nai samne bolne

Aur sabhi ko karta tha welcome

Tabhi yeh life bhi nahi control mein

Jo kar nai paate kuch zindagi mein

Khali time nikale voh troll mein

Dikhneko saaf mein pehnu kapde

Par daag toh laga hai soul mein

Yeh nashe bhi nahi ab karte asar

Ladkon ko jeete jee banna khabar

Mein raakh hun nahi hai meri kabar

Ab jahan hai pyaar bas vahi hai ghar

Aur zimmedariyon se lage nai dar

Mein art ka Kaise dun hone murder

Toh karke suffer mein karu sabar

Yeh likhre the quotes mein banu rubber

Aur gully bas video mein lagti hai acchi

Yahan asli mein rehna nai baska tere

Sammohit hood mein hai bajta tere

Hum gaanon se ladkon ko rasta dere

Hum gaanon se ladkon ko rasta dere

Aur gully bas video mein lagti hai acchi

Yahan asli mein rehna nai baska tere

Sammohit hood mein hai bajta tere

Hum gaanon se ladkon ko rasta dere

Hum gaanon se ladkon ko rasta dere

Gully ka ganda hai lifestyle

Gully ka ganda hai lifestyle

Gully ka ganda hai lifestyle

Rest in peace sab dreams

Jo dekh nai paaye kabhi gully se bahar

Chapre ki andar se dikhta nai star

Sapno ka jail hai ghar ki deewar

Karmon ka khel hai har naya saal

Paise kama ya izzat sambhal

Bhediya pehne nai bakri ki khaal

Ban tu shikari ya hoja shikar

Marne pe mere bajana yeh geet

Pata nahi kahan tha jab milra naseeb

Ab hota nahi khush sunke apni taarif

Jo dere ajj gaali voh kal the kareeb

Yeh chehra hai ajj ke zamaneka

Kalyug ki aisi hai shaam

Jab tak hun zinda bas pyaar karun parivaar

Ko aur lunga bhagwaan ka naam (shaanti se)

Aur gully bas video mein lagti hai acchi

Yahan asli mein rehna nai baska tere

Sammohit hood mein hai bajta tere

Hum gaanon se ladkon ko rasta dere

Hum gaanon se ladkon ko rasta dere

Aur gully bas video mein lagti hai acchi

Yahan asli mein rehna nai baska tere

Sammohit hood mein hai bajta tere

Hum gaanon se ladkon ko rasta dere

Hum gaanon se ladkon ko rasta dere

Gully ka ganda hai lifestyle

Gully ka ganda hai lifestyle

Gully ka ganda hai lifestyle