🎵

Raah Mein Unse

Album: Raah Mein Unse Durasi: 3:35

Ishq qasam, ishq nahin tha karna

Kisi pe kabhi humko nahin tha marna

Dil kahin kho jaaye na

Kisi ka yeh ho jaaye na

Jaan kahin le-le na

Yahi darr tha

Raah mein unse mulaqaat ho gayi

Raah mein unse mulaqaat ho gayi

Jisse darte the wahi baat ho gayi

Jhoom kar dil tera seene mein rakh liya

Saanson ne dil se uska sajda kiya

Yoon hi the bewajah, qeemti ban gaye

Teri mohabbat ne woh rutba diya

Ghalti yeh hai humse laajawaab ho gayi

Ghalti yeh hai humse laajawaab ho gayi

Jisse darte the wahi baat ho gayi

Dil kahin kho jaaye na

Kisi ka yeh ho jaaye na

Jaan kahin le-le na

Yahi darr tha

Raah mein unse mulaqaat ho gayi

Raah mein unse mulaqaat ho gayi

Jisse darte the wahi baat ho gayi