🎵

Rasiya

Album: Mangal Pandey - The Rising (Hindi-2005) (flac) Durasi: 5:57

machhali tadpe jaal mein

main tadpu karke pyar

andar ghat tak pyas hai

aur nass nass mein angaar

bata de re gudiya hai wo kaun rasiya

jo manva churaye is tarah

bata de re gudiya hai wo kaun rasiya

jo manva churaye is tarah

wo chaliya wo rasiya julmi mann basiya

wo chaliya wo rasiya haye julmi mann basiya

nain se milaye naina wo, lute nindiya chain wo

wo chaliya wo rasiya

bigdi banat banat ban gayi

gudiya manat manat man gayi???? jalat jalat jal gayi

chunari dhalat dhalat dhal gayi

bigdi banat banat ban gayi

gudiya manat manat man gayi???? jalat jalat jal gayi

chunari dhalat dhalat dhal gayi

bata de re gudiya hai wo kaun rasiya

jo manva churaye is tarah

ha hai kaun wo wo sipaiya jo daiya hai daiya hai

manva churaye mora

mili thi najar to kab thi khabar

mann mein wo aise virajega

mann bhadka yu dhadka kya koi danka baajega

main ghabrayi, main boraayi laaj bahot mohe aayi

jab saiya ne jorse kaske thaam li mori kalaai

phir dheere dheere aayi aake charo aur chhayi

aur dhundke barsi wo badriya

chaliya wo rasiya julmi mann basiya

bigdi banat banat ban gayi

gudiya manat manat man gayi

badriya ghirat ghirat ghir gayi

bijuriya girat girat gir gayi

beete nahi ratiya mori katte nahi ab more din

unse milu ya naa milu ye bhi kathin aur wo bhi kathin

jo naa milu to mann mora tadpe mohe bhi tadpaye

aur milu to dhyaan ye aaye wo mohe chhod naa jaaye

wo jo pyar mein hai to kaise aajmaaye

jhutha hai ya sachcha hai sawariya

chaliya wo rasiya julmi mann basiya

bigdi banat banat ban gayi

gudiya manat manat man gayi

najriya milat milat mil gayi???? khilat khilat khil gayi

bigdi banat banat ban gayi

gudiya manat manat man gayi

najriya milat milat mil gayi???? khilat khilat khil gayi