🎵

Yaaron

Album: rockford Durasi: 4:33

Yaaron, dosti badi hi haseen hai

Yeh na ho toh kya phir bolo yeh zindagi hai?

Koyi toh ho raazdaar

Be-gharaz tera ho yaar

Koyi toh ho raazdaar

Yaaron, mohabbat hi toh bandagi hai

Yeh na ho toh kya phir bolo yeh zindagi hai?

Koyi toh dilbar ho, yaar

Jisko tujh se ho pyaar

Koyi toh dilbar ho, yaar

Teri har ek buraayi pe daante woh dost

Gham ki ho dhoop toh saaya bane tera woh dost

Naache bhi woh teri khushi mein

Are, yaaron, dosti badi hi haseen hai

Yeh na ho toh kya phir bolo yeh zindagi hai?

Koyi toh ho raazdaar

Be-gharaz tera ho yaar

Koyi toh ho raazdaar

Tann-mann kare tujh pe fida mehboob woh

Palkon pe jo rakhe tujhe mehboob woh

Jiski wafa tere liye ho

Are, yaaron, mohabbat hi toh bandagi hai

Yeh na ho toh kya phir bolo yeh zindagi hai?

Koyi toh dilbar ho, yaar

Jisko tujh se ho pyaar

Koyi toh dilbar ho, yaar