🎵

Arz e Dil

Album: Arz e Dil Durasi: 3:35

Jane kahan le ke jaayein

Yunhi bulain

Betaabiyan

Kal ki fikar ko lagae

Seene se haye

Kyun hai bhala

Do pal ka

Chahe ho raasta

Saya tera

Ban ke chal dun sada

Arz e dil

Sun zara

Thaam le bus tu

Iss dor ka sira

Aaj hai

Tu mera

Kal karega khud

Apna hi faisla

Haan magar

Sochti yahi hoon raat bhar

Koi to hoga wo jo

Raasta teri

Raahon se ja mile

Ishq ke

Saare marhalon ko paar kar

Mangoon duaayein bethi

Aasmaan ki

Chaadron ke talay

Pooch le (pooch le)

Gar khuda (gar khuda)

Naam tera bas

Mein doon use bata

Har janam (har janam)

Ke liye (ke liye)

Saath likh de tu

Use mera bana

Thaam loon haath yeh

Jaaon na kabhi tujhe

Chodd ke raahon mein

Tere hi saath mile

Raaston ko meri manzilein

Ho agar faasle

Dil se kabhi bhi na

Jaye gi tu mere

Rahegi mehfooz

Saath teri sari yaadein

Do pal ka

Chahe ho raasta

Saya tera

Ban ke chal dun sada

Arz e dil

Sun zara

Thaam le bus tu

Iss dor ka sira

Aaj hai

Tu mera

Kal karega khud

Apna hi faisla

Arz e dil (arz e dil)

Sun zara (sun zara)

Thaam le bus tu

Iss dor ka sira

Kal karega khud

Apna hi faisla

Kal karega khud

Apna hi faisla