🎵
[00:08.97]Jise zindagi dhoondh rahi hai
[00:13.11]Kya yeh woh maqaam mera hai?
[00:17.33]Yahaan chain se bas ruk jaaun
[00:21.42]Kyun dil yeh mujhe kehta hai?
[00:25.43]Jazbaat naye se mile hain
[00:29.71]Jaane kya asar yeh hua hai
[00:33.84]Ik aas mili phir mujhko
[00:37.98]Jo qubool kisi ne kiya hai
[00:45.10]Haan, kisi shayar ki ghazal jo de rooh ko sukoon ke pal
[00:54.48]Koi mujhko yoon mila hai jaise banjaare ko ghar
[01:02.78]Naye mausam ki seher, ya sard mein dopeher
[01:11.15]Koi mujhko yoon mila hai jaise banjaare ko ghar
[01:19.50]♪
[01:56.54]Jaise koi kinaara deta ho sahara
[02:03.89]Mujhe woh mila kisi mod par
[02:13.15]Koi raat ka taara karta ho ujaala
[02:20.31]Waise hi roshan kare woh sheher
[02:29.19]Dard mere woh bhula hi gaya, kuch aisa asar hua
[02:37.45]Jeena mujhe phir se woh sikha raha
[02:45.22]Hmm, jaise baarish kar de tar, ya marham dard par
[02:54.52]Koi mujhko yoon mila hai jaise banjaare ko ghar
[03:02.74]Naye mausam ki seher, ya sard mein dopeher
[03:11.18]Koi mujhko yoon mila hai jaise banjaare ko ghar
[03:19.36]♪
[03:56.44]Muskaata yeh chehra deta hai jo pehra
[04:03.98]Jaane chhupaata kya dil ka samundar
[04:13.24]Auron ko toh har-dum saaya deta hai
[04:20.34]Woh dhoop mein hai khada khud magar
[04:29.20]Chot lagi hai usey, phir kyun mehsoos mujhe ho raha hai?
[04:37.49]Dil, tu bata de kya hai iraada tera?
[04:45.35]Hmm, main parinda be-sabar, tha uda jo dar-ba-dar
[04:54.64]Koi mujhko yoon mila hai jaise banjaare ko ghar
[05:02.81]Naye mausam ki seher, ya sard mein dopeher
[05:11.03]Koi mujhko yoon mila hai jaise banjaare ko ghar
[05:19.36]Jaise banjaare ko ghar
[05:23.45]Jaise banjaare ko ghar
[05:27.56]Jaise banjaare ko ghar
[05:32.00]🎵