Be-rang see ye meri duniyaa zaraa thi
Jaanaa, naa too hai mere paas
Meri kahaani ke is dil mein naa jagah thi
Par, jab se huee mulaaqaat
Kuch ho raha hai ye nasha sa in hawaon se
Saanson mein meri ek nayi zindgaani hai
Kehne ko phulon kee ye khushboo puraanee hai
Kyun chhedi fir se ek naee ye kahaani hai?
Aasmaanon mein jo rang ghule hain
Muskuraate hue sapanon ke jhule hain
Sehamein hue do dil adhure the
Paas aathe hue chaahaton mein bune hain
Jiyaa re, jiyaa, jab se laage, piya, ye tose
Meri to sunta kahaan
Jiyaa re, jiyaa, jab se laage, piya, ye tose
Meri to sunta kahaan
Khushiyon se tha mera gilaa
Tune aa ke diya inkaa pata
Bhuuli hoon main vo parachhaaiyaan, haan
Roshni ka hai ab saath milaa, haan
Raaton se ghire jo bhee andhere the
Tere aanae se subah mein bole hain
Be-rang hue jo do dil adhure the
Paas aathe hue rangon se ghule hain
Jiyaa re, jiyaa, jab se laage, piya, ye tose
Meri to sunta kahaan
Jiyaa re, jiyaa, jab se laage, piya, ye tose
Meri to sunta kahaan