🎵

Change

Album: Change Durasi: 3:36

Jo bhi lag raha khade pe, fuck bucket list

Meta bhi bole kaam mera suggestive

Ek banda jeeta sabke dream poore, collective

Prodigy scene ka, different mera perspective

Inke liye game, hume prem hai kala se

Dil lagana hota, wahan brain hai lagate

Ego, ego chillate, main juda hoon zameen se

Plane mein bhi pasand hume plain hai parathe

Thana kaunsa pata nahi hai, par baatcheet niklegi

Har doosre bande par maachis niklegi

Koi fеke doosron pe, koi kare pooja

Mujhе darr hai aane wali peedhi naastik niklegi

Change kaafi drastic aur parivartan niyam hai

Amar insaan, insaaniyat ka nidhan hai

Mushkil hota kaatna gareeb ghar pe jeevan

Par sukoon mila wahi pe, middle class wala vision hai

Tune meri jeet dekhi hai

Par maine meri haar dekhi hai

Main chaahun toh saare shauk poore kar lu

Par zimmedaari maar deti hai

Meri kala meri yaar jaisi hai

Kabhi khafa, kabhi naal baithi hai

Main roun toh woh rumaal deti hai

Tumhare bhai ko sambhaal leti hai

Tune meri jeet dekhi hai

Par maine meri haar dekhi hai

Main chaahun toh saare shauk poore kar lu

Par zimmedaari maar deti hai

Meri kala meri yaar jaisi hai

Kabhi khafa, kabhi naal baithi hai

Main roun toh woh rumaal deti hai

Tumhare bhai ko sambhaal leti hai

Sunaaye maine kisse toh ro diye log

Khareeda ek ghar jisme do kiye shows

Mere talvon mein aaj bhi paseena

Sabko dikhe mere chehre pe glow

Main baatein karne taaron se laga

Pata hi nahi chala, bana li sitaron mein jagah

Kashti meri doobi par kinaron se wafa

Hazaaron hain gawaah, jab bhi giraa, uth khada

Tim-tim eyes kare shine jo ki lagti hai kabhi-kabhi bojh

Rim-jhim paisa barse par main khona nahi chahta hoon hosh

Ye din-win sab badalte rahenge, ghar pe bita samay roz

Neend-wind sab tyaagi, humne jeeta haq se Hustle mere dost

Poochhun kismat se kyu tu naraaz hai kya

Jiss kal ka sochta tha woh aaj hai kya

Poora shahar ro raha chhaati peet-peet ke

Jaake dekho Lashcurry ki laash hai kya

Thode se kamyaab, thode se barbaad hain kya

Mere jaisa ek, tere jaise toh pachaas hain kya

Kitno ki gaand jali, rehte woh hataash hain kya

Itna aage aana koi mazaak hai kya

Lashcurry toh fauj hai, Lashcurry koi jaat hai kya

Lagta meri tarakki mein Ishwar haath hai kya

Wish karne waale sau, koi dene waala koi saath hai kya

Acche se dekho, jalne waale khaak hain kya

Sabse badi baat ye hai

Ki pratyaksh ko pramaan ki avashyakta nahi hoti

Aur satya ko vishwaas ki avashyakta nahi hoti

Jahaan par aapse koi kahe ki aap vishwaas kariye

Kyunki jo satya hai, woh to satya hai hi hai

Aag ka kaam hai jalaana, woh jalayegi

Aap vishwaas karo ya mat karo

Tune meri jeet dekhi hai

Par maine meri haar dekhi hai

Main chaahun toh saare shauk poore kar lu

Par zimmedaari maar deti hai

Meri kala meri yaar jaisi hai

Kabhi khafa, kabhi naal baithi hai

Main roun toh woh rumaal deti hai

Tumhare bhai ko sambhaal leti hai

Tune meri jeet dekhi hai

Par maine meri haar dekhi hai

Main chaahun toh saare shauk poore kar lu

Par zimmedaari maar deti hai

Meri kala meri yaar jaisi hai

Kabhi khafa, kabhi naal baithi hai

Main roun toh woh rumaal deti hai

Tumhare bhai ko sambhaal leti h