🎵

IRAADE

Album: IRAADE Durasi: 5:20
[00:21.75]Mara mari, yeh toh pagalo ka daur nikla
[00:24.04]Kamyabi tole kisko kisse khauf kitna
[00:26.78]Kya zara si kardi kalko maine galti
[00:28.97]Ki sunli apne dil ki?
[00:30.24]Ab toh har taraf hai raub dikhta
[00:32.07]Was born different, par sehlu isko aur kitna?
[00:34.74]Locked in my mind's prison, main born sinner
[00:37.40]Cole taught me we choose from what we are given
[00:39.69]But please God forgive me, agli baar nahi pyaar chunna
[00:42.70]Kya hi karta, jaisa dekha waisa seekhta tha
[00:45.42]Nanhe paudhe ko zeher bhi dedo kheench jaata
[00:48.05]Aur main toh beta hu us baap ka
[00:49.70]Jo la deta khilaune har uss shaam jabki daantna ya peetna tha
[00:53.46]Jitna jeeta utni zindagi se aati ghinn
[00:56.01]I'm not suicidal, bas khulke kehdi baat dil ki
[00:58.66]Suna mere sheher mein nafraton ka trend chala hai
[01:01.38]Somebody dissed me, I wishеd him well and paid a bill
[01:04.01]Kash (Kash, kash)
[01:04.99]Inme akal hoti zara si, dilon mein khot
[01:06.97]Maila hai paani vichaaron ka, aks na dikhе zara bhi
[01:09.02]Note-on mein dhundte fire azaadi
[01:10.35]Shaitaan dimaag pe haavi
[01:11.72]Sabhi ke aakhon mein lage hai taale, andhero mein khojte fire yeh chaabhi
[01:14.33]I got a question
[01:15.20]Chaabhi toh ek nahi, chaabhi anek hai
[01:17.06]Why do they feed on their family?
[01:18.06]Killing to prosper, selling their dream
[01:19.12]I sit and I ponder, sabhi toh vehem hai
[01:20.86]I'm praying to God, tu dikha de raasta, utha de neend se hamein
[01:23.10]We live in a dream. ho bhale ishaare peeche (Uh)
[01:25.62]Mera yeh sheher hai khwaabon ka kaatil
[01:27.11]Hath range huwe laal
[01:28.36]Kalam uthake rakha maine panno pe
[01:29.82]Yeh sapne huwe sakaar
[01:30.79]Yaha zameen ko khodoge aaj, milenge artist dafan hazaar
[01:33.65]Likha yeh gaana unhi ke khaatir
[01:34.89]Bhale hi cheen lo mere se saans
[01:36.52]Jaan lele kalakaar ki
[01:37.78]Yeh kalah toh aati nahi baaz
[01:38.94]Likhe hai gaane 5-we class se
[01:40.54]Haar nahi mana main aaj bhi, I done survived this shit for a while
[01:42.83]Aaj huwa poora 21-wa saal
[01:44.15]Gote lagadi iraadon mein, kinaron ki na talash
[01:46.70]Apne gam se mera apna gehra naata
[01:49.44]Kehna chahta par shayari likh jaata hu
[01:52.13]Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada
[01:54.90]Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu
[01:57.44]Apne gam se mera apna gehra naata
[02:00.05]Kehna chahta par shayari likh jaata hu
[02:02.75]Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada
[02:05.60]Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu
[02:07.84]Ye us likhaari ko
[02:09.06]Jis ke ghar me chaltay faakay
[02:10.51]Wo ab nai toota
[02:11.76]Kalaa se umeed baandhe
[02:13.08]Ye us likhaari ko jo asool toray dunya ke
[02:15.97]Seena rakhay chora kahe teri deals nahi chaiye
[02:18.49]Ye us likhaari ke liye jo tasveerain khenchta
[02:21.15]Ye us likhaari ke liye jo rooh nahi bechta
[02:23.87]Jisse ke nahi chaiye teri nokri hazaaro ki
[02:26.34]Wo daakhil hona chahta
[02:27.61]Mehfil me kalaakaron ki
[02:29.17]Ye us ke liye jo haar nahi maanta
[02:31.70]Jo dekhta nahi dusron ko apni jaghan jaanta
[02:34.41]Khuddaar wo
[02:35.56]Wo dhool nahi chaat'ta
[02:37.11]Hawaa ka rukh dekh ke us rukh me ni bhaagta
[02:39.63]Wo maangta hai izzat tumse maangta nai note wo ye
[02:42.37]Ye binti hai meri
[02:43.58]Kalakaar ko izzat do
[02:45.29]Likhta fasaane jese harf ki rawaani
[02:47.51]Shaayar hote saare faani reh jaati bas kahaani
[02:50.23]Uski rooh na jaane kis sheher me choot gai
[02:53.34]Apna shaoor apni aqal usse loot gai
[02:56.02]Zaahir aur baatin me uske nai parda
[02:58.63]Dunya se be-khof wo bas khud se hi darta
[03:01.28]Wo tor chuke kitne hi rishte o naate
[03:03.81]Wo chahta nai log jo na usse samajh paate
[03:06.63]Wo rakhta hai yaad har zakham ke naqqaash ko
[03:09.32]Daagh hain siyaahi ke par dil ka hai saaf wo
[03:11.86]Farishta nahi usne shetaan sang tori roti
[03:14.80]Usse tere mere jese baton ki na fikar hoti
[03:17.33]Dost hai khuda ka
[03:18.77]Wo shetaan se bhi batain karay
[03:19.99]Kalakaar
[03:20.76]Ham jese na wo faraq karay
[03:22.71]Khol deta saamne dunya ke kul-kamaai
[03:25.12]Usse sikkon ki khannak kabhi raas na aai
[03:27.57]Par kya kare wo bhi?
[03:29.01]Dunya se pareshaan wo
[03:30.55]Rok lete jaghan jaghan jaibain iski chaan lo
[03:33.37]Dekho kya hai is ki qaddar lage kitna bhaao iska?
[03:35.99]Kheencho iska chamra chun chun ke hunnar khao iska
[03:38.58]Zinda nahi chorna ye kese hamse mukhtalif
[03:41.03]Wo apni kahaani ke unwaan leta khud hi likh
[03:43.70]Wo jaanta wo gir raha hai gardish ke mukhaalif
[03:46.36]Wo janta wo mar raha
[03:48.31]To kaffan rakhay sath me
[03:48.94]Tum daal dena mitti
[03:50.81]Uski bechaini ko yun raahat bhi nahi milni
[03:54.23]Usne aas paas walon ke khwaabon ka kiya khoon
[03:57.00]To tum pe bhi waajib ke cheeno uska sakoon
[03:59.59]Usey taang do saleebon pe
[04:01.15]Ya chowk me hi chor do
[04:02.38]Ke tum sab aik jese
[04:03.77]Bas aik hi tha faasadi wo
[04:05.11]Shaoor aur aqal jesi ghatiya karta batain
[04:07.70]Uske ghar walon se kaho ke boriya bistra baandhay
[04:10.23]Tum aman ke rakhwale unhe choro ge nahi sheher me
[04:13.06]Tum maar doge Bullah ya Mashaal phenko neher me
[04:15.82]Jab aajae selaab tere ghaar ki dehleez pe
[04:18.35]To kaho haara kalaakaar aur dunya ye jeet gai
[04:21.10]Par andar hi andar ye tu bhi hai waakif
[04:23.74]Ke tere jese log hi ye sheher dubaa gaye
[04:26.70]Laanat hai, laanat hai
[04:28.36]Apne gam se mera apna gehra naata
[04:29.43]Kehna chahta par shayari likh jaata hu
[04:32.09]Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada
[04:34.98]Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu
[04:37.46]Apne gam se mera apna gehra naata
[04:40.08]Kehna chahta par shayari likh jaata hu
[04:42.83]Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada
[04:45.58]Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu