🎵

ISSAQ TERA

Album: Mohit Chauhan Durasi: 3:17

Kuch reshmi hai, kuch khurdura

Abhi beh chala hai, abhi hai ruka

Haath mein hai ret sa Issaq tera

Haath mein hai ret sa issaq tera

Us paar tu hai, is paar main

Lagta hai doobunga is baar main

Jaane kahan hai le chala issaq tera

Ho saare jahan se hai juda

Issaq tera Issaq tera Issaq tera

Ho ho ho...

Tu mere, main tere saamne jab talak

Yeh zamin, yeh falak khoobsurat lage

Kisht mein hai mili aaj ki yeh khushi

Gin rakhe hain maine kal ke lamhe sabhi

Kuch der tujhko bhi tak lunga main

Palkon ke koron mein rakh lunga main

Hai subah ke khawab sa issaq tera

Ho haathon mein hai ret sa issaq tera

Us paar tu hai, is paar main

Lagta hai doobunga is baar main

Jaane kahan hai le chala issaq tera

Ho saare jahan se hai juda issaq tera