Hiii, kya zindagi mein aapki cool sab?
Gained a few friends just to lose some
And it's confusing jaise zindagi ho movie meri
Samajh se pare hai, but the end result is nuisance
Mile mujhe bas kitaabi keede log
Tu tez kitni chal rahi hai dheere ho
Mujhe nahi chahiye stress, mujhe jeene do
Main jaise jee raha, samjho ab mere liye theek hai woh
Kyun sabki baatein aati dil par ye mere?
Ye kaate kyun par hain mere?
Haan khulke udne do mujhe
Jo bhi main paa loon, khona hi hai kyun mujhe?
Chahe log ya khushi, saare roke kyun mujhe?
To khul ke aaram
Hai kabhi naseeb
Ye kya zindagi, ye behtar kab?
Sab kuch hai paas, par kyun na kareeb?
Ye kutta naseeb, ye behtar kab?
Ye beetiyaan bhi saari, jahaan pe mere haavi
Feels like I'm helpless, aur ab kuch nahi ummeed
Ye zindagi bachpan se
Beeti akelepan mein
Aankhon mein sapne par ab aati hi na neend
Sach kahoon toh main
Thak chuka hoon dhokhe kha ke
Hasta raha hoon ro ke aake
Tujhe dikhte 100 log mujhe dikhte hain bas bahaane
Trust issues ye zindabad hai
Aake mujhe zinda maare
Pyaar mein jab bin dahaade
Aakhiri saans ginte jaare
Bas sahi hai dimaag ka
Aur nahi mere pe koi raasta
Aur sochta na zindagi mein
Nahi hoon koi Kafka aur
Phobia bas pyaar ka aur phobia izhaar ka aur
Pata hi nahi hai iska hota ilaaj kya
Main karna chahta apni zindagi ke baare kaarvaai
Jitna jhelta dukh, uska milta kuch nahi ROI
And how do I deal with this fact?
Jitne close the mujhse, woh saare door ho chuke hain
Ab jo dost bane rahe hain woh bhi bhoolne lage
Jitne rishte bane the woh bhi tootne lage
Jinke saath hasta tha woh saare roothne lage
Aadhe se zyada ye rishte kaise jhooth pe pale hain?
To khul ke aaram
Hai kabhi naseeb
Ye kya zindagi, ye behtar kab?
Sab kuch hai paas, par kyun na kareeb?
Ye kutta naseeb, ye behtar kab?
Ye beetiyaan bhi saari, jahaan pe mere haavi
Feels like I'm helpless aur ab kuch nahi ummeed
Ye zindagi bachpan se
Beeti akelepan mein
Aankhon mein sapne par ab aati hi na neend