← Kembali
🎵

Lashcurry Hai Kya

Album: MTV Hustle 4 - Episode 18 Durasi: 3:01

Madad ke naam pe salaah ya shabashi

De do mujhe meri kala ya azadi

De do mujhe mera bachpana

Phir se bitha lo unn kandhon pe utha lo dadaji

Tu ne scene uthate dekha mujhe

Par maine haath uthate dekha mere baap ko

Maa ne tha bola tu banega star

Main baitha hoon pakad ke baat ko

Deti hai pankh sapno ko kitabein

Dekhi hai maut apno ko chita pe

Tb ki bimari bua ko shit mari woh saamne

Marna toh likha hai par mera apna hi kyun

Gham itna dilon mein rakhna hi kyun

Todna hi hai to dil mera todd de

Par jaaneman sapna hi kyun

Haan tera bas paane pe dhyan tha

Kaash tu mera khona samajh paati

Main kitna chhupa loon usse

Par maa mera rona samajh jaati

Rata tha rap pehli dafa

Bombay 70 neazy the baa

Likha phir rap nirbhaya pe maine

Logon ne bola ki crazy laga

School mein lazmi aana sharam

Bhari nahi fees bahaana khatam

Tiffin mein hamesha khana garam

Dilon mein dard aur gaana marham

Proud hota bhai mere saksham aaj

Lashcurry par na main naxalvaad

Luxury lashcurry darshan saath

Bhai mujhe aa gaya bachpan yaad

Pehle thae 4 ab bache hain 3

Behen ki shaadi udhari kathinn

Rehta main baahar toh akeli maa

Beete nahi raat aur kate na din

Pata nahi kab ho gayi din se raat

Maa boli karta tu neend mein baat

Likh raha tha gaane pahaadon ke liye

Main sapno mein baitha tha jheel ke paas

Patthar phenke ghar pe jinke kaanch

Woh loyal hai rehta main jinke saath

Khaate mein chahiye 7 figures

Shunya chahiye gin ke 7

Ab main nahi ghoomta 3 ke saath

Main scene ke pehle aur scene baad

Kaise tairenge yeh tinke aaj

Woh bhai thae nikle aastin ke saanp

Maine bola ki main hi to khuda hoon

Woh bole hisaab se baat kar

Kalam boli ki mujhe nahi chalna hai

Maine bola kitab se baat kar

Maine bola main grammy le aunga

Woh bole aukaat mein baat kar

Maa se bola ki computer dila do

Maa boli ki baap se baat kar

Main rone kyun lag jata aksar

Yun be-wajah mamuli baat par

Yahan sabhi ko pasand hai chaand

Dil nahi aata hai kisi ka daag par

Woh bante hain dharam ke rakshak

Masoomon mein goliyaan daag kar

Main soch ke gaya uss gali mein

Woh dekhegi khidki se jhaank kar

Main maa se khafa raha 2 din

Phir mujhse maa boli baat kar

Sunati rahi mujhe pyaar se

Kahaniyan maa poori raat bhar

Yeh mehengi si hottleo' se zyada

Sone mein mazaa hai maa ki god mein

Yeh mehengi si bottleo' se zyada theek

Mashuka ki aankhein hi bahut hai

Lashcurry kyun darega marne se

Lashcurry toh gaata hi maut hai

Aur mujhe to mila ni kuch bhi

Aur tu ne toh maanga hi bahut hai

20 ki umar mein mahine ka laakh

Laakh se neeche ki hoga na baat

Saath nayab toh safar hai khaas

Ab manager puche kya piyoge aap

Yeh rapper dete reh gaye dheel pe dheel

Main crack karoon idhar deal pe deal

Jalne lage mujhse din pe din

Sharaab shabaab aur jinn pe jinn

Baahar nahi jaata tha 10 ke baad

Woh rehta hai raat mein ghar se durr

Jo rehta tha 10 ke saath

Woh rehta akela ab sab se khush