🎵

Nishaan

Album: AZLI Durasi: 4:01
[00:46.57]Iss ghaflat ke ghar mein darwaze hai bandh
[00:51.35]Main dhoondu madad par koi na mere sang
[00:55.36]Ye ankhe unn yaado mein hi mar miti
[00:57.76]Jo lauti nahi, kahan ko chali? Kahan chal bassi?
[01:03.36]Hamari umeedein?
[01:04.76]Kyu ye khushaali ko seenche?
[01:07.22]Kaisa ghulami ka beej ye?
[01:09.49]Jo pale sehlabo ke neeche
[01:11.44]Khaali kitabo ke beech mein
[01:13.86]Hum jali ikhlaqo ko seekhe
[01:16.14]Farmayein na cheekhye
[01:17.99]Ghabraye na peetyein
[01:18.83]Ye kaisa qanoon? Jo haq ka hareef hai?
[01:21.12]Main Abdul Qadeer, main na koi mareez
[01:23.34]Main chahta kaash hota na aisa naseeb
[01:25.50]Bure sapne hai mere zehan mein likhe
[01:27.38]Wo zalim jo bachpan mein ek din mile
[01:30.17]Wo zakhm bhi tab se kabhi na bare
[01:32.33]Wo shak hi nahi bas nafrat hi hai
[01:34.63]Wo nafrat nahi bas wo hasrat hi hai
[01:36.73]Wo hasrat nahi bas woh taaqat hi hai
[01:39.12]Jo bani ibaadat ek aafat hi hai
[01:41.49]Jo baje mere kaano mein
[01:43.51]Bhaagu inn awaaz se
[01:44.63]Bassi mere saanso mein
[01:45.88]Kahani har aansu mein
[01:47.96]Darr se jo kaanpu mein, aata nahi kabu mein
[01:50.23]Miti lakeere in haatho se
[01:52.33]Baara saal ki umar se mera dum ghute
[01:54.79]Ye aag phehle aur na ruke
[01:57.09]Maine pehchana kabhi khud ko na
[01:59.11]Thi zindagi na kabhi khushnuma
[02:01.43]Ye khayalat bhaage mere peeche, kare paagal mujhe
[02:05.06]Jeene ka maqsad kya?
[02:06.47]Jawab maangu kyu hai chup khuda?
[02:08.59]Chal raha barbaadiyo ka samaa
[02:10.93]Jaise dafan hun main zameen ke neeche
[02:13.08]Meri cheekhe sun ke bhi na sunega
[02:15.29]Zameen wadaan
[02:17.57]Zakham navaan
[02:18.33]Hujoom davaan
[02:19.24]Wajood maraan
[02:20.44]Zahar ralaan
[02:21.37]Sakoon galaan
[02:22.25]Yi kya gasaan?
[02:23.60]Fanaah nishaan!
[02:38.99]🎵