🎵

Paardarshi

Album: Lashcurry Durasi: 4:06

Lash curry hai, kya!

Main jaga, jaga, jaga, poori raat-bhar

Main bhaga, bhaga, bhaga, peechhe rakshas

Main jaana chahta wahan, jahan shanti

Gana, gana, gana, gana lagta mujhe shaap ab

Main jaga, jaga, jaga, poori raat-bhar

Main bhaga, bhaga, bhaga, peechhe rakshas

Main jaana chahta wahan, jahan shanti

Gana, gana, gana, gana lagta mujhe shaap ab

Kahani paardarshi, sabhi ka istaqbal

Kami kitaabon ki, par school gaya basta daal

Kabhi ni aa paayi dawaai maa ki time par

Aaj maa ki ek khaansi pe ghar bana aspataal

Khoobiyaan chhod, woh kamiyaan bata ke chale gayi

Samjha tha zindagi, zindagi samjha kar chale gayi

Bola tha, "Ek gaane pe ek peti utha lunga"

Woh kisi mahine waale ki tankhwa par chali gayi

Na talasha mandiron mein, maszidon mein khoya nahi

Bandisho mein hasta tha per zanzeero mein roya nahi

Lanat hai uss bete par jo chori karke mauz karta

Baap jiska raat ko chain se kabhi soya nahi

Naye makaano mein mandir purana yaad kar

Haath jod, aas kar, galtiyon ko maaf kar

Bada dil, bada ghar, lambi, gehri saans bhar

Zubaan meethi unke, jinke khoon laga daant par

Bro, main kehna chahta bohot kuchh

Mata-pita bohot khush, sannata dekha, roz dukh

Aata nahi tha likhna, ab likhta hoon baate bohot khoob

Moh nahi, maaya se gaano mein seedhe maut doon

Baat suni mene ghar ki chaar toh darkinar ni kari kalakaari

Padti maar jo jhadti maar ke, tapri paar the farzi chaar

Tod ke deewarein dhar ki le gaye, thaane mein band hua abki baar

Baap ne bola, "Aulaad ni meri", fir baap ne chhudaya agli baar

Chalte show mein ata call, papa bole, "Kidhar ho?

Jaldi aaja ghar pe, mujhe parwah ni tu jidhar ho"

Ab main jaata show pe toh utaarte hain nazar

Main bhi chadhta stage pe, cheque pe paanch figure ho

Yeh saari cheezein ek raat mein ni aayi

Main so gaya bhookha, roti khairaat mein ni khaayi

Tu kalakaar accha hai, par mann mein tere khot

Warna acche-acchon ke safalta hath mein ni ayi

Cheekhoon zor se, deewarein mujhe khaa jaayegi

Chalta jaa rha, sadak pata ni kahan jaayegi

Aaye din bas jaayedaat ke kagzat pe marpit

Main ghar ka sabse chhota, mere hisse mein toh maa aayegi

Hello, ammi?

Haan, bol jaan? Khana khaya, beta, aapne?

Haan maa, khaa liya

Haan beta, yeh naach-gaana toh chalta rahega

Beta, thode apne sehat pe bhi dhyaan rakhna, beta (haan maa)

Haan, aajkal kya hai; papa ki bhi tabyat wagera theek ni rehti hai

Haan maa, main ab... (haan), karta hoon aapko baad mein call, hai na? (Hmm)

Yeah, dhaai mahine baad yaad aaya, maa se baat karoon

Par ek sawaal, ek malaal, kahan se start karoon

Kaise bataaun, kal main roya poori raat-bhar hoon

Laachaar main, naraaz baap se kya aas rakhoon

Woh kehti mujhe, "Khana khaya tune?"

Bola jhoot phir se, "Khaa liya", bahaana aya

Ghar se bahar jaata hoon to deti paise mujhe

Maa-baap ko boodha hota dekha, tab kamana aaya

Bada ban'ne ke chakkar mein jeevan chhota ho gaya

Main vyaapari ka beta, ghaate ka souda ho gaya

Jo nahi hona tha sang mere, hota woh gaya

Jeevan chhalava, saath mere dhoka ho gaya

Dil mein aandhi leke aya tha, woh jhonka ho gaya

Meri haar pe jashan ka tera mauka ho gaya

Maa bolti thi, "Buri sangat kaam na aayegi"

Khayi chot toh usi pal se bharosa ho gaya

Ye toh beete din ki baat, halaat ab kuchh aur

Ab maa bhi mere saath, papa se sab kuchh sort

Afford mein kar leta, jo bhi chhote-mote shauk

Emotional insaan hain hum, rote-vote bohot

Thaka-haara bohot, bas main nasha chaah raha roz

Dukh hazam nahi kar pa raha aur na pacha pa raha krodh

Na bacha saka ye, na bacha pa raha woh

Tujhe pata meri story phir kyu thassa kha raha, bro?

Maze ke liye nahi chuna tha maine sangeet

Toh kaise rah loon ek din bhi kaam kare bina

Har din mujhe lagta ki bache hain mere kam din

Main khaak agar mara apna naam kare bina

Baatein meri rooh ko teri aati thi naa chhu ke

Main bas kalakaar hoon, toh mujhse jaati bhi na poochhe

Svarth ke liye dooje ko khaai mein gira de

Matlab saanp bhi mar jaaye aur laathi bhi na toote

Main jaga, jaga, jaga, poori raat-bhar

Main bhaga, bhaga, bhaga, peechhe rakshas

Main jaana chahta wahan, jahan shanti

Gana, gana, gana, gana lagta mujhe shaap ab

Main jaga, jaga, jaga, poori raat-bhar

Main bhaga, bhaga, bhaga, peechhe rakshas

Main jaana chahta wahan, jahan shanti

Gana, gana, gana, gana lagta mujhe shaap ab