🎵

Shayar

Album: Rangamanch Durasi: 3:12

Chahe mujhe kabhi pyaar na ho

Mera koi yaha khaas na ho

Per jispe karu main yakeen

Voh chehra kabhi bhi naqaab na ho

Mera chahe bada naam na ho

Mehfil me pehchaan na ho

Bas itna hi mangu khuda

Mehnat jo karu voh khraab na ho

Tumhe toh dikhe har baar bas haar meri

Girr ke utha main kaise tumko ye dikhta ni

Kaam ko mere sache logo se tareef mile

Deke main paise kabhi views ko khareedta ni

Mujhe sikhaya na karo kaise banane ghaane

Likhu main dukh ya main sukh alfaaz mere

Jinhe samajhna voh samjhe ehsaas mere

Sunn ne waale toh mujhe sab dhokebaaz mile

Sath ni dena toh phir karte fikar kyu

Deke udaari mere kaat te ho par kyu

Desi main banda na samajh aaye trend naya

Baat hai dil ki toh maangte jism kyu

Bolu main sach toh samajhte ghamand kyu

Sehlunga sab tumhe laga ye bharam kyu

Haan main shayar hu, hu par Haryana ka

Bin baat ke macha rahe bhasad kyu

Koi mujhsa deewana nahi

Main kerta dikhawa nahi

Main shayar hu likhta jo baate

Zamana bata ta nahi

Koi mujhsa deewana nahi

Main kerta dikhawa nahi

Main shayar hu likhta jo baate

Zamana bata ta nahi

Mene na socha the ki aisa anjaam hoga

Meri likhai ko dil waalo ka salaam hoga

Mera geet jo bhi sunta repeat pe

Vo mera apna ni koi anjaan hoga

Bada tarsa main dekhne ko din naya

Ankhein thi nam meri zakhmo'n se dil bhara

Aur aake bolte ye nakli se launde mujhe

Jo baje gaadiyon me aisa koi geet bana

Tumhe hi shauk hoga dikhawo me jeene ka

Meri kalam me toh sach ki likhai hai

Tere baap ne dilai hogi gaadi tujhe

Mere baap ne mujhe mehnat sikhai hai

Hone ko 30 ke ye phir bhi akal nahi

Saari jawaani jhak maar ke beetai hai

Mene toh sach kaha khol diye raaz sabhi

Baato'n me meri ab dhundtein burai hai

Koi mujhsa deewana nahi

Main kerta dikhawa nahi

Main shayar hu likhta jo baate

Zamana bata ta nahi

Koi mujhsa deewana nahi

Main kerta dikhawa nahi

Main shayar hu likhta jo baate

Zamana bata ta nahi