Tujhse Naraz Nahin Zindagi - Lata Mangeshkar

Tujhse naaraz nahi zindagi
Hairaan hoon main
Ho hairaan hoon main
Tere masum sawaalon se
Pareshaan hoon main
Ho pareshaan hoon main

Jeene ke liye socha hi nahi
Dard sambhalne honge
Muskuraaye toh muskuraane ke
Karz utarne honge
Muskuraaun kabhi toh lagta hai
Jaise hothon pe karz rakha hai

Tujhse naaraz nahi zindagi
Hairan hoon main
Ho.. hairaan hoon main

Aaj agar bhar aayin hain
Bundein baras jaayengi
Kal kya pata inke liye
Aankhen taras jaayengi
Jaane kab ghum hua, kahaan khoya
Ek aansu chhupa ke rakha tha