🎵

Tum Aaoge

Album: Tum Aaoge Durasi: 4:06

Hum milee, bichad gae baath itanee nahin

Too nahin, phir kyun teri yaad mitati nahin?

Us pal hamne naa roka tuje

Shayad ye bhi pata tha mujhe

Tum aaoge, yakin tha

Mud ke kabhi to yahaan

Tum aaoge, yakin tha

Hone ko phir se mera, haan mera

Kitni raatein, guzari jagaa ke

Neenden ho gayi kafa

Ho, khwaabon se tere bhar lee hain aankhen

Yaadon se maine subah

Itna pyaar ho jayega dil ko tumse

Khabar hee nahin thi hamein

Tum aaoge, yakin tha

Mud ke kabhi to yahaan

Tum aaoge, yakin tha

Hone ko phir se mera, haan mera

Aane se tere, khamosh dil mein

Hone laagi halchalein

Ho, kab se katam ye tehre hue the

Aao saath chal chalein

Intazaar mein thi tumhaare ye saansein

Mile tum toh jine laage

Tum aaoge, yakin tha

Mud ke kabhi to yahaan

Tum aaoge, yakin tha

Hone ko phir se mera, bas mera