← Kembali
🎵

Vanilla Prelude

Album: Vanilla Prelude Durasi: 3:27

Gumnaam si maut

Main chahoon aam si maut ab

Wo aati roz milne deti naam ki maut bas

Talwaar ki nauq pe naache Qaf harr roz ab

Khuda se bhi zyada khud se khata wo khauf ab

Guess what?

Freeze hua qalam phir se aj

Bhaari lagne laga mujhy kalakaari ka ye taaj

Khud kushi kari koshish, khushi se, you know I tried

Bobby bheje bhaari beatien, maine choda kaam kaaj sab

Haar jeet mera masla nahi shayad

Qaf karu qatal paas kaafi asla nahi shayad aur

Ammi taake mera rasta nahi shayad

Baba tere dil mai tera beta basta nahi shayad aur

I swear

Mujhy pasand nahi sona

Mai to chaandi ka khilona

Mere zakhmo'n pe malo na

Koi marham

Iss pe pehle hojaun mai barham

Sharam nahi baqi

Lagta pehle se ab darr kamm

Humdum bey wazan nikle

Samajta tha sanam jinko jaise phamb nikle

Qatra qatra bahe paani

Ya phir sagar si rawaani

Saans lene mai asaani ho jab dum nikle

Phir bhi naa ye gham nikle

Kis ka ghar toda?

Kisi sehra mai pagoda

Jiss se zum nikle

When I slit my fuckin' wrist

Wahan rum nikle

I thought I killed my foes

Wahan hum nikle

Boht khoob

Chhaape note, phir bhi zindagi hai joke

Harr roz tod fod, same night karu show

Toota jism leke pohchu, saaf kari bloody nose

Qaf lagta mujh ko bhediya par lagta tum ko goat

Narcissistic

Phir se mai ballistic

Mood swings hote simple shit lagta cryptic

Aise maamlon mai chahta na mai khitt pitt

Leave me alone, I'm fuckin' myself with my thick dick

Padna

Janaz e shaayirana

Mujhy bheed na pasand to

Janaz e gaayibana

You saw my dark circles

Ab koi daayira na

Rihaayi maangu Allah se

Ab ghar hi tu bulana

Mai kho chuka hu deen

Ab imaan bhi nahi gawana

Ek zarra baqi dil mai

Mujh ko itna hi bachana

Azmaayishon mai fail

Neeche kheeche ye zamaana

Ye nazam to hai bahana

Bhar chuka tha ye paimana

Haal e dil nahi sunana aur

Meri nazmo'n pe na karo gaur

Meri nazmo'n pe na karo shor

Meri nazmo'n pe na karo gaur

Haal e dil nahi sunana aur

Meri nazmo'n pe na karo gaur

Meri nazmo'n pe na karo shor

Meri nazmo'n pe na karo gaur