🎵

Gulaabi

Album: Gulaabi Durasi: 3:00

Aankhon ka kya hai

Do se chaar ho jaengi

Baaton ka kya hai

Din se raat ho jaegi

Saanson ka kya hai

Ek din ruk jaani hain

In baadalon si Apni ye kahani hai

In jugnuon sa

Mujhko jagmagana hai

Teri baazuon mie dhalkar doob jana hai

Sang tere baarishon mie bheeg jana hai

Tu hi meri khushi

Mera thikana hai

Hokar Khafa na

Rahein hum kabhi

Khula aasmaan ho

Aur gulaabi ho zameen

Haathon mie haath ho aur na ho koi bhi

Bas tera sath ho aur gulaabi ho zameen

Guzre gamon ko

Mujhko bhul jana hai

Gairon ki bheed se

Mujhko door jana hai

In khushbuon se

Ek ghar sajana hai

Tu hi meri Zameen

Mera zamana hai

Hokar Juda na

Rahein hum kabhi

Khula aasmaan ho

Aur gulaabi ho zameen

Baaton mie Baat ho aur na ho koi bhi

Bas tera sath ho aur gulaabi ho zameen

Ooooo

Gulaabi ho zameen

Ooooo

Gulaabi ho zameen

Saanson mein Saans ho

Aur gulaabi ho zameen