← Kembali
🎵

Mere Piya Gaaye Rangoon

Album: Patanga Durasi: 4:25

Hello, Hindustan ka Dehradun?

Hello, main Rangoon se bol raha hoon

Main apni biwi Renuka Devi se

Baat karna chahta hoon, haan-haan

Mere piya, oh, mere piya gaye Rangoon

Kiya hai wahan se telephone

Tumhari yaad sataati hai, tumhari yaad sataati hai

Jiya mein aag lagaati hai

Mere piya gaye Rangoon

Kiya hai wahan se telephone

Tumhari yaad sataati hai, tumhari yaad sataati hai

Jiya mein aag lagaati hai

Hum chhod ke Hindustan bahut pachhtaye, bahut pachhtaye

Hum chhod ke Hindustan bahut pachhtaye, bahut pachhtaye

Hui bhool jo tumko saath na lekar aaye

Hui bhool jo tumko saath na lekar aaye

Hum Burma ki galiyon mein aur tum ho Dehradun

Tumhari yaad sataati hai, tumhari yaad sataati hai

Jiya mein aag lagaati hai

Mere piya gaye Rangoon

Kiya hai wahan se telephone

Tumhari yaad sataati hai, tumhari yaad sataati hai

Jiya mein aag lagaati hai

Meri bhookh-pyaas bhi kho gayi gham ke maare, gham ke maare

Meri bhookh-pyaas bhi kho gayi gham ke maare, gham ke maare

Main adhmui si ho gayi gham ke maare

Main adhmui si ho gayi gham ke maare

Tum bin, saajan, January, February ban gaye May aur June

Tumhari yaad sataati hai, tumhari yaad sataati hai

Jiya mein aag lagaati hai

Mere piya gaye Rangoon

Kiya hai wahan se telephone

Tumhari yaad sataati hai, tumhari yaad sataati hai

Jiya mein aag lagaati hai

Aji tumse bichhad ke ho gaye hum sanyaasi, hum sanyaasi

Aji tumse bichhad ke...

Tumse bichhad ke ho gaye hum sanyaasi, hum sanyaasi

Kha lete hain jo mil jaye, rookhi, sookhi, baasi

Kha lete hain jo mil jaye, rookhi, sookhi, baasi

Aji lungi baandh ke karein guzaara, bhool gaye patloon

Tumhari yaad sataati hai, tumhari yaad sataati hai

Jiya mein aag lagaati hai

Mere piya gaye Rangoon

Kiya hai wahan se telephone

Tumhari yaad sataati hai, tumhari yaad sataati hai

Jiya mein aag lagaati hai